Raanjhaa...a poem






Main kya kru jake madine me…
Mera chain-o-shakoon takat hazare me…
Kya le kar jau main darbar-e-khuda me…
Mera sab kuch takat hazare me…
Mera kaaba takat hazare me…
Mera babba takat hazare me…
Main hu na ab mujhme…
Kya dunde ab tu mujhme…
Mera Dil takat hazare me…
Meri jaan takat hazare me…
Kya maangu main masjid jake…
Meri mannat takat hazare me…
Meri Jannat takat hazare me…
Kya Geeta phadu, kya Quran phadu…
Meri neeyat takat hazare me…
Meri aayat takat hazare me…
Main chodd ke jau kese usko…
Vo baitha takat hazare me…
Rhaa dekhe takat hazare me…
Main to rahugi satrh uske…
Chahye marna takat hazare me…
Chahye jeena takat hazare me…
Roo na chau pr roo na pau…
Meri aankhe takat hazare me…
Mere aashu takat hazare me…
Kya mhuu dikhaugi main khuda ko…
Meri khai kashme takat hazare me…
Mere aadhe vaadhe takat hazare me…
Kya krugi main jaanat jaake…
Mere toote sapne takat hazare me…
Mere choote apne takat hazare me…
Barish na acchi lge, koi baat na sacchi lge…
Aisa kya bhul aai takat hazare me…
Koi jaye mujhe lejaye takat hazare me…
Koi jake mera dard sunnaye usse…
Meri tadap bataye usse…
Meri thami dhadkan sunnaye usse…
Vo chaand se uttar ke aayega…
Hawa pe chal ke aayega…
Vo sab chord chad ke ayega…
Duniya se ladke aayega…
Mujhe jeena shikhaye ga…
Mujhe apna banyega…
Mera aashiq takat hazare me…
Mera Raanjhaa takat hazare me…

Comments

Popular posts from this blog

What is Love...?

Happy and Sad state of Mind...

Lessons from bike trip in mountains...