Saaza-e-maut...a poem
Do gaaz zameen kafi hogi, hamara insaaf karne ke liye… Yhi saaza milni chahiye thi, jo har roz marte rhe zindgi ke liye… Maut se bdi aur kya saaza hogi zindgi ke liye… Bin pucche, bin khe, bin jeeye jeete rhe marrne ke liye… Do gaaz zameen kafi hogi, hamara insaaf karne ke liye… Ye khel tera shi hai khuda re… Jo apne bnnata rha, ishq krata rha, sab ek din chord jaane ke liye… Hassa ke rula ta hai, fir bi ummeed dikhata hai… Aur kya kasar rhe gyi humme barbaad krne ke liye…. Do gaaz zameen kafi hogi, hamara insaaf karne ke liye… Beweja, bekhabar chalet rhe, geerke na jaane kyu sambhalte rhe… mazil bta dete to dund lete hum raaste... ye parinde bina ghar ke na jane kha kha batakte rhe… ab to rheem kr o rabba, saaza-e-maut dede humme, har khusi k liye… Do gaaz zameen kafi hogi, hamara insaaf karne ke liye…